Thursday, March 8, 2012

Urdu poetery


Urdu poetery







            Dost ban kar bhi nahi

Dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala
wahi andaz hai zalim ka zamane wala

ab ise log samajhate hain girftar mera
saKht nadim hai mujhe dam mein lane wala

kya kahain kitne marasim the humare is se
vo jo ik shaKhs hai muu pher ke jane wala

tere hote hue aa jati thi sari duniya
aaj tanha hoon to koi nahin aane wala

muntzir kis ka hoon TuTi howi dahaliz pe main
kaun aayegaa yahaan kaun hai aane wala

main ne dekhaa hai bahaaron mein chaman ko jalate
hai koi Khvaab ki taabiir bataanevaalaa

kya Khabar thi jo meri jaan mein ghulaa hai itna
hai wahi mujh ko sar-e-daar bhi lane wala

tum taqalluf ko bhi iKhalaas samajhate ho Faraz
dost hota nahi har hath milane wala









No comments:

Post a Comment